[Urdu Ghazal] Mashvara Muhabbat Ka

 
"> Us ne door rehnay ka Mashvara b likha hai

Saath hi Muhabbat ka wasta b likha hai

Us ne yeh b likha hai meray ghar nahi aana

Aur saaf saaf lafzon mein raasta b likha hai

kuch haroof likhay hain zabt ki Naseehat mein

kuch haroof mein us ne haosla b likha hai

Shukriya b likha hai dil se yad karnay ka

Dil se dil ka hai kitna fasla b likha hai

Kia usay likhein Kia usay kahain

Jis ne bejaan kar k jaan b likha hy,
No comments:
Write comments