Aarzoo Shayari – Phar pharat hai jo

 
"> Posted by:Zeshan
Aarzoo Shayari – Phar pharat hai jo din raat mere sinne me
Posted on February 15, 2016 by Wafa | Leave a reply

Phar pharat hai jo din raat mere sinne me,
Abb yahi aik pirinda ha reha karne ko.

==========================

yeh husn bi kitni buri cheez hai
jiss ne daali buri nigaah dali…

==========================

Andheri raat ka manzar bhi khoob tha lekin
Tum agaye tou charaghon mein roshni karli…

==========================

Marr kar bhi uss ko dekhtay rehnay k shoq mein….
Ankhein kissi ko apni Amanat mein de gaye

==========================

Tamana Hai K Roshan Ho Teri Duniya Teri Mehfil
Ujala Mil Sake Tum Ko To Hum Ghar Bhi Jala Dengy.

==========================

Ek tamanna si hai iss maayoos dil ki kash…
Aaj aansoo ke sath har khwaab bhi beh jaye…

==========================

maine yeh soch kar nhi boye khwaabon k darakht
Kaun sehra me lage shajar ko pani dega

==========================

Khawahishon k angan mein raat din baseray thy…
Titliyan tmhari thien or phool mere thy…

Chand asmanon se jb zameen pe utra tha…
Daikhnay mein raatain thien asal mein saweray thy…

Tere pass basnay ki khai thi kasam leikin…
Shehar bhi praya tha loog bhi luteray thy…

Lut gaye hm dono to qasoor kis ka hy…
Khawahishen bhi teri thien faislay bhi tere thy..

==========================

Mujh Main Kya Hay Jo Mujhe Yaad Karey Ga Koi
Achey Achon Ko Yahaan Loug BhOol Jatey

=========================
No comments:
Write comments

Advertisement