Dard shyri

 
"> Posted by:Zeshan
Soch Shayari – Yahan tehzeeb bikti hai, Yahan farmaan bikte hain
Posted on May 6, 2016 by Wafa | Leave a reply

Yahan tehzeeb bikti hai, Yahan farmaan bikte hain,
Zara tum daam tou badlo, Yahan imaan bikte hain..

========================

Pardhna hy tu insan ko phardny ka hunar seekh
har chehrey pay likha hy kitabo say ziada

========================

Ghazal kehte huye tera saraapa sochta hoon,
Zara to soch lo, mein tujh ko kitna sochta hoon..

========================

Hum na hote to kisi aur k charche hote,
Khalkat e sheher to kehne ko fasane mange.

========================

Wo jo bachpan me hi lagta hai koi jado gar,
Kia sitam dhae ga jab us pe jawani ho gi.

========================

Jab beti chokhat par kare,
or izzat ka beyopar karay,

Jab baap ki izzat kho jaye,
jab bhai ko taney milty hon,

Jab behno k dil jaltey hon,
jab maaon ki nazaren jhuk jaye,

Jab sans labon per ruk jaye,
jab sharam-o- haya ka aameza,

Jab ik kanwari doshiza,
Jab be’sharmi ko apna lay,

Jab khud ko zillat main dhaley,
Jab ghair k senay lag jaye,

Or apna ap ganwa aye,
to aesi halat ko yahan log muhabbat kehte hen.
No comments:
Write comments