Dard Tu ne wish card bhej kar mujh ko

 
"> Posted by:Zeshan

Tu ne wish card bhej kar mujh ko
Yaad kitny dila diye mosam

Mery bahar badal diya manzer
Mery ander saja diye mosam

Farq baqi nahi rakha tu ne
Mosamo’n mein mila diye mosam

Sochta houn k apni furqat mein
Tu ne kaisy bana diye mosam

Bacho’n jesi thi teri zid jana’n
Tu ne yunhi ganwa diye mosam

Mom bati na thi k pal bhar mein
Phoonk mari aur bujha diye mosam. . !

============

Gulshan parast hoon mujhy gul hi nahi aziz
Kaanto’n se bhi nibah kiye ja raha hoon mein.

============



Kisi din tujh sey milney ka bahana dhoond laity hain
Chalo, kuch saal pehlay ka zamana dhoond laity hain

Andhera kitna hi gehra ho, raat’ain kitni kaali hon
Parindey apna apna aashiyana dhoond laity hain

Advertisements
Kai dar khul jatay hain jo ik dar band hota hai
Hum aisay log apna aab-o-daana dhoond laity hain

Chat’ain jin k sar’on se cheen li jati hain wo be-ghar
Kahi’n bhi sir chupanay ka thikana dhoond laity hain

Galay hum se bhi aa lagta hai koi dard ka maara
Kisi dil sokhta ka hum bhi shaana dhoond laity hain

Khuda mehfooz rakhay, in ki zid pe hum na aajain
Shikari apney matlab ka nishana dhoond laity hain

Ana ki jang mein akhir bharam qaim bhi rakhna hai
To youn karty hain, rasta darmiyana dhoond laity hain. . !

============

Guzar gaya jo kai baar be-niazana. .
Wo shakhs bhi hai meri umer-e-be’talab ki tarha

============



Phir wohi lambi dopeherain hain, Phir wohi dil ki haalat hai
Bahir kitna sannata hai, Ander kitni wehshat hai. .

Sham karain kaisy is din ki, Thandi surat dekhain kin ki
Idhar udhar to dhua’n urati, aag ugalti khalqat hai. .

Jis ko hum ne chaha tha wo kahi’n nahi is manzar mein
Jis ne hum ko pyar kiya wo saamney wali moorat hai. .

Phool babol k achay hain lekin sakat tasweero’n mein
Sach much k sehra’on ki tou is dil jaisi surat hai. .

Tery baad dukano’n per ja kar poochta rehta hoon
Kia wo khushbu mil sakti hai ab us ki kia qeemat hai?

Baray baray sapney nahi’n boye meine apny aangan mein
Nanhi munhi khushi’an hain, Meri choti si ik jannat hai. . !
No comments:
Write comments