Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy
Tu jis ka mustahiq tha wo chahat na di tujhy
Apny hi roz-o-shab k jhamelo’n mein gum raha
Jis per tera tha haq wo rafaqat na di tujhy
Tu paas tha tou meri anaa k ghuroor ne
Pathar k aik but ki bhi wuq’at na di tujhy
Dariya tha mein khuloos ka har shakhs k liye
Per boond bhar bhi meine muhbabbat na di tujhy
Kaghaz k qamqam’on ko jalanay k shauq mein
Afsos, koi sham-e-rafaqat na di tujhy
Tu sochta tou ho ga k shayar k piyar ne
Apni kisi ghazal ki bhi surat na di tujhy
Mein kia karu’n k meray both se azaab they
Bus is liye kabhi koi zehmat na di tujhy. . !
=====================================
Makeen khush they k jab band they makano’n mein. .
Khulay kawaarr tou taalay parray zabano’n mein. . !
=====================================
Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha. .
Us ka rishta to faqat apny mafadaat se tha. .
Ab jo bichra hai to kia ro’en judai pe teri. .
Ye andesha tou humain pehli mulaqaat se tha. .
Dil k bujhney ka hawao’n se gila kia karna?
Ye diya naza’a k aalam mein to kal raat se tha. .
Mein kharaabo’n ka makeen aur ta’alluq mera. .
Tery naatay kabhi khuwabo’n k mehal’aat se tha. .
Lab-kushaai pe khula us k sukhan ka iflaas. .
Kitna aarasta wo atlas-o-banaat se tha. . . !
=====================================
Meri zindagi pe na muskura, Mujhy zindagi ka alam nahi’n. .
Jisay tery ghum se ho waasta, Wo khizaa’n bahaar se kam nahi’n. . !
=====================================
Mata-e-dil hi bachi thi bus ik zamanay mein
So hum usey bhi teri anjuman mein haar aaye.
No comments:
Write comments