Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi
khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi
Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gehre bheydon ko
main samjhi teri batoon se
Mein teree yaad kai takiye per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi roti hoon
=======================
Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai,
Yeh meri Maan ki duaayon ka assar lagta hai..
=======================
Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh,
Kahan phiro ge shayer sahab, dast-e-sawaal liye..
=======================
Meri khawhish hai ke main phir se farishta ho jaaon,
Maan se is tarah lipat jaaon ke bacha ho jaaon..
=======================
Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai
Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab
Mere wujood ka saara nizam tum se hai
Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin o nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai
Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai
No comments:
Write comments