Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain By Faraz

 
"> Posted by:Zeshan

Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,

Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,

Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun maslay baykaar kay rakh dety hain,

Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,

Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,
No comments:
Write comments