Sad Shayari – KIA TUM B Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho

 
"> Posted by:Zeshan

KIA TUM B . . .?
Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .
Or kisi awara patte ki ahat pr,
Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thak se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .
KIA TUM BHI. . .?
========================
Arz-e-Matlab Ka
Adhura Silsila Rehny Dia
Dastan Keh Di
Bayan-e-Mud?da Rehny Dia
Sirf Itna Yaad Hy Dastak
Hui Thi Ek Bar
Zindagi bhar Dil Ka
Darwaza Khula Rehny Dia
========================
rok lo qadam jee bhar ke dekhlo
hamara tumhara saath bas yahin tak tha
manzil mile na mile ab hamari kismat
ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha
tum chal nahi sakte is se aage ek qadam
ruk jao ke phoolon ke chaman yahin tak tha
aage arahe hain gham mujh se milne gale
ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha
uttho aur naye hamraahi talash karo
ke yeh khuwaab suhana bas yahin tak tha
========================
Yeh daagh daagh ujaala, yeh shab gazida sahar
Woh intizaar tha jis ka, yeh woh sahar to nahin
Yeh woh sahar to nahin jis ki aarzoo lay kar
Chaley tthey yaar key miljaegi kahin na kahin
Falak kay dasht mein tarron ki akhiri manzil
Kahin to hoga shab-e-sust ghum ka saahil
Kahin to jakey lageyga safina-e-ghum-e-dil
========================
Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho
Ek chadar main lipte Do Badan, ek Tera ho ek Mera ho
Tere Makhmali badan main, Khushbuon k Chaman main
Sadiyon tak wo Raat chale, Sadiyon door Sawera ho
Tere Hoton ko jab sil doon Main, apne Hoton k Dhaage se
Ek Sannate main Khamoshi se, Teri Bhaahon ne Mujh ko Ghera ho
Dono Lipte ek Dooje main, ek Gaanth si lag jaaye Badanon main
Mere Jism main Ghar mil jaye tujhe, Tere Jism main Mera Basera ho
Dil kehta hai kuch aisa ho, Tu ban jaye Main, aur Main ban jaon Tu
Bister per Tere Mere siwa, sirf Junoon or Khamoshi ka Dera ho
========================
Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
Bandaa paravar jaayiye achchhaa Khafaa ho jaayiye
Raah men miliye kabhii mujh se to azaraah-e-sitam
HoNTh apane kaaT kar fauran judaa ho jaayiye
Jii men aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se
Ab na miliye phir kabhii aur bevafaa ho jaayiye
Haaye re be-iKhtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
Us saraapaa naaz se kyuuN kar Khafaa ho jaayiye
========================

No comments:
Write comments

Advertisement