Ab aap kis liye pareshaan hotey hain,
Diya tha ranj to kuch soch kar diya hota..
========================
Jin ko ik umar ka nazraana diye bethe hain,
Aah tak un se taaruf bhi mukammal na hua..
========================
Woh aksar deta hai mujhy parindon ki misaal,
Saaf nahin kehta ke mera sheher chorr jao.
========================
Hamarey paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali,
Tumhaarey hath se kyon rishtaa mehr o karam chootta..
========================
Kissi ki bewafaayi se mujhe kya,
Main apna kaam rakhta hoon wafa se..
=========================
Itna talkhh jawaab-e-wafaa mila,
Hum uske bad koi armaan na kar sake..
=========================
Umeed ehd-e-wafaa aur in buto’n se Shakeel,
Jo bhool kar bhi kisi se wafaa nahin kartey..
No comments:
Write comments