Ishq Shayari – Suno Janaa’n

 
"> Posted by:Zeshan

Suno Janaa’n
Boht be-sakooni hai hamari zaat mein
Boht masroof rehna parr raha hai. .
Boht se kaam hain
Jo apny zimmay ley rakhay hain
Magar, inhi saray jhamelo’n mein
Tumhari yaad ka wo aik jugnu, ab chamkay to
Ye aankhain bheeg jati hain.
Tumhari yaad k roshan sitaray timtimatay hain
Tou dil bujh sa jata hai
Hawa ko sub pata hai
Mery dil ki khabar hai
Meri palkon k aansu
Khud mein jazb kar k num c ho jati hai. . !

Suno Janaa’n
Boht hi be-sakooni hai hamari zaat mein
Lekin
Tumhain hum yaad karty hain
Tumhain ab bhi
Boht hum pyar karty hain.

==========================

Is sey barh ker meri koi chahat nahi..
Tu meray samney ho aur mein tujhey dekha kar’on!!

==========================

Sarey mahol mein khusbo hai teri yaad’on ki..
Hum ney gham khaney ko phool’on sey saja rakha hai!

==========================

Shama jal jal ker mita deti hai apna wajood.!!
Ba-wafa is per bhi keh detay hein parwaney ko hum..

==========================

Sharma gay, lajha gay, ankh’ein chura gay.!
Aye ishq marhaba wo yaha’n tak to aa gaye..

==========================

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab..
Apney rukhsar sey pardey ko hataye rakhiye!

==========================

Jigar jala deta hai ye ishq
Ghum barha deta hai ye ishq

Kabhi kabhi aisa bhi hota hai
Pagal bana deta hai ye ishq

Bikher jaty hain sehra mein taza phool
Umeedain mita deta hai ye ishq

Ujarr jaty hain aabad gharanay
Aisa barbaad karta hai ye ishq

Ik awaara mizaaj ko bhi
Qaidi bana deta hai ye ishq

Jis ne kiya wohi janta hai ‘Gul’
Kia se kia bana deta hai ye ishq.
No comments:
Write comments