Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya
Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya
Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya
Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ..!!
===============================
Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga
Kisi udaas sham main dhal jaaon ga
Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon ga
Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon ga
Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon ga
Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon ga
===============================
mujh sey baad-d-bahara’n nay ro ker kaha,
teri qismat bahaaro’n k qabil nahi,
teri dunya hay ashkon may dobi hoi,
teri aankhen nazaaro’n k qabil nahi,
meri kashti ko toofa’n ne bosy diay,
boli moj-e-talatum mujy deikh kar,
teri taqdeer may hain bhanwar hi bhanwar,
teri kashti kinaro k qabil nahi,
usney mehfil se mujko utha ker kaha,
meyra peecha KHUDA k liy chor do,
meri mehfil mein phir na aana kabhi,
ye muhabat k maaron k qabil nahi
===============================
Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat
Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir
Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .
No comments:
Write comments