Dukhi Shayari – Aalam main jis ki dhoom thi uss shahkaar per

 
"> Posted by:Zeshan


Aalam main jis ki dhoom thi uss shahkaar per,
Deemak ne jo likhe woh tabsrey bhi dekh..

===========================

Saadgi se hum ne samjha tha, hamara zikr hai,
Tazkrey kuch aur hi un ke beyaa’n mein aye they..

===========================

Dukho’n ne baant liya hai tumhare baad humain,
Tumhare hath mein rehte to kitna achaa tha..

===========================

Mohabbat ka khumaar utraa to tab saabit hua,
Woh jo manzil ka rasta tha, be-maksad safar niklaa..

===========================

Raiza raiza hai akss mera, magar hairat yeh hai,
Hai mera aayina salamat, to phir toota kya hai ..

===========================

Justaju jis ki thi, us ko to na paya hum ne,
Iss bahaney se magar dekh li dunyaa hum ne..

 ===========================
Toot’te huye sitaare ko dekh kar khayal aya,
Jaan se guzarne ka marhalaa rehta hai..
No comments:
Write comments