Sad Shayari – Zer-e-lab in ki ye hansi anjum..

 
"> Posted by:Zeshan


Zer-e-lab in ki ye hansi anjum..
Jesay khilta hua gulab ka phool.!
=====================

zakhm lagaye hein apney jalwo’n sey kitney.
Yaad mujh ko hisab zara aney dey..
=====================

Abhi bhi waqt hai
khuwab’on ko tabeer ker dalo

wafa ko apney mathay per likho
taqdeer ker dalo
kisi key pyar ko per’on ki tum zanjer ker dalo
=====================

Zindagi jin key tasawor sey jila pati thi..
Haye kia log thay dam-e-ajjal mein aaye.!!
=====================

Zindagi dhoop hai taptey hoay sehra’on ki.!
Jis mein chaltey huay insan bichar jatey hein..
=====================

Muhabbat’on ka khayal rakhna
Kahi’en na aisa ho be-dihani mein

tum hatheli ko khol dalo
hawa’ein sazish pey aan utre’in

to khushk pat’on sa hal ho ga
gulaab rut ka zawal ho ga
muhabbat’on ka khaya rakhna..
=====================

Zindagi kia janey kiun mehsoos hota hai mujhey!
Tujh sey pehlay bhi ho jesay ye zehar chakha hoa..


No comments:
Write comments