[Sad Shayari] – zakhmo ko jagah de de bhadke hue sholon ko

 
">

rmaan bhare dil mein
zakhmo ko jagah de de

bhadke hue sholon ko
kuch aur hawa dede
banti hai to ban jaaye
ye zindagi afsaana
aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana
ik din to samajh legi
duniya tera afsaana
aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana
fariyaad se kya haasil
rone se nateeja kya
bekaar hai ye baatein
in baaton se hoga kya
apna bhi ghadi bhar mein
ban jaata hai begaana
aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana
ik din to samajh legi
duniya tera afsaana
aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana
========================
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
========================
jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii
ab to marane kii duaa de zindagii ai zindagii
mai.n to ab uqtaa gayaa huu.N kyaa yahii hai qaayanaat
bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii
Dhuu.NDane nikalaa thaa tujh ko aur Khud ko kho diyaa
tuu hii ab meraa pataa de zindagii ai zindagii
yaa mujhe ehasaas kii is qaid se kar de rihaa
varnaa diivaanaa banaa de zindagii ai zindagii
========================
Mosam-e-hijar k lamhaat koi kia jany
kia guzarti hai mery sath koi kia jany
duriyon main bhi tery sath marasim hain wohi
rooz hoti hai mulaqat koi kia jany
loog hansti hui ankhon pe yaqeen rakhty hain
mery ansoo mery jazbaat koi kia jany
ik tu hai jisy maloom hain sari baten
shab-e-hijar mery halat koi kia jany
koi kia jany k khamoshiyan kia kehti hain
meri ankhon k sawalat koi kia jany
========================
Kisi ko mohabat ki sachai maar daly gi
kisi ko mohabat ki gehrai mar daly gi
kar k mohabat koi nahin bachy ga
aur jo bachy ga osy tanhai mar daly gi
========================
”Mein Ne Dushman Ko Bhi Ehsaas-E-Muhabbat Bakhshaa
Mere Apney Mujhey Nafrat Ki Saza Detay Hein ……
========================
matti ke jitne ghar main banata chala gaya
ik shaks khafa ho ke girata chala gaya
woh mujse buhat door door bhagta raha
jitna main uske naaz uthata chala gaya
ik mere waste he osne dard rakhe the
…baki to wo har ik ko hasata chala gaya
thi haath main taqat magar dil nahin mana
uske siwa main subko harata chala gaya
dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan
onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya
========================
Uski Adat wohi, her bat Adhoori karna
Aur phir Bat ka mafhoom badaltey rehna
========================
BaRha k MUjhsE rAAh o rASm aB wo sOCHTe hAIn
WohI Bohat tha Jo risHTA Dua saLAM ka tHA…!!!
========================
No comments:
Write comments