ZAMEER LAFZ-O-BAYA’N BHI JISEY BTA NA SAKA - TWO-LINE SHAYARI

 
">
Zameer lafz-o-baya’n bhi jisey bta na saka.!
Teri nigah sey wo bat poch li mein ney ..

=======================

Taweel hijr ka ye jabar hai key sochta hun
Jo dil mein basta hai hath bhi laga’on usey

=======================
Talu-e-hashar hai ya raab ye jald bazi kia ..!
Zra sharab to pe lain, hisab detay hein..

=======================
Toor per chera tha jis ney ap ko..
Wo meri dewangi thi mein na tha.!


=======================
Tabeyat ko ‘Adam’ gham sey lagao..
Mussarat to ghiza hai chashm-e-bad ki..!

=======================
Tabeyat jis ki khod ik madrassa ho.!
Isey kia ishtiha jhoti sanad ki…

=======================
Talab ki aag ney ajza-e-dil ko phoonk dia..!
Saba key zor sey barg-e-gulaab toot gaye..

=======================
Tabeyat ko tabeyat sey badal ley..
Tabeyat ashna honey sey pehlay!

=======================
No comments:
Write comments

Advertisement