Tu ne wish card bhej kar mujh ko
Yaad kitny dila diye mosam
Mery bahar badal diya manzer
Mery ander saja diye mosam
Farq baqi nahi rakha tu ne
Mosamo’n mein mila diye mosam
Sochta houn k apni furqat mein
Tu ne kaisy bana diye mosam
Bacho’n jesi thi teri zid jana’n
Tu ne yunhi ganwa diye mosam
Mom bati na thi k pal bhar mein
Phoonk mari aur bujha diye mosam. . !
======================
Kis ne kheenchi hayat ki tasweer?
Hath mein jaam, Paon mein zanjeer. . !
======================
Khara tha mein bezwi-e-hawaj k kinaray. .
Wohi thi ya leher chaandni ki uthi hui. .
======================
Kiran kiran mujhy suraj k sath ubharna hai. . !
Sakoot-e-shab mein sada’on ka rung bharna hai. . !
======================
Boht door rehta hai mera yaar
Jaan se barha kar karta houn usey pyar. .
Agar wo kahi’n mujhy bhool bhi gaya to
Mein sadiyon tak karunga uska intezar
Bhool kar kahin usey yaad meri aa jaye gi
Aankh aansu’on se bhar jaye gi
Aur wo laut aye ga
In aankh’on ko aa jaye ga qaraar
Bus yehi khoobi hoti hai pyar mein ‘Gul‘
K ye awara mizaj’on ko bhi kheench lata hai yaar. .
======================
Kaash un k amal bhi hon achay. .
Jin ki baatain boht hi piyari hain. .
======================
No comments:
Write comments