Kehtay hain jeetay hain umeed pe log.
Hum ko jeenay ki bhi umeed nahi. . !
======================
Kitna phailay ga ye ik wasl ka lamha aakhir?
Kia sameto gay k ek umer ki tanhai hai. .
======================
Kon tha, us ko kahan rang-o-qalam kho baithy. .
Wo musawir k jo khood shami-e-tasweer bhi tha. .
======================
Go bazahir mery afsanay pe woh hansty rahy
Aankh mein aansu magar be-ikhtiyar hi aa gya. .
======================
Gumaan na kar k mujhy jurat-e-sawal nahi. .
Faqat ye darr hai tujhy lajawaab kardunga . !
======================
Kisi ko sheher mein ab hum se laag hai na lagao
Koi to tum se bhi nazar’ain churanay wala ho. . !
======================
Ye jo guldaan parra hai
Mein tery dil mein
Iski manid hoon
Jab chaha
Koorray mein phenk diya
Kia sab ko muhabbat mein
Yehi kuch milta hai?
======================
No comments:
Write comments