TWO-LINE SHAYARI – NA JUNOO’N RAHA RUKH-E-WAFA, YE RASN, YE DAAR KARO GY KIA

 
">
Na junoo’n raha rukh-e-wafa, ye rasn, ye daar karo gy kia?
Jinhain jurm-e-ishq pe naaz tha, wo gunah-gaar chalay gaye. . !


=======================

Na us ki bazm mein aansu baha’eyo ae chasm!
Nigah rakhi’yo zara meri aabru ki taraf. . !

=======================

Na aisay aaney ki aarzu thi, na aisay jana hamari khoo thi,
Hamary dil ki bhi aabru thi, magar wo pehla sa dil kahan hai. . !

=======================

Nishan-e-manzil jana’n milay milay na milay
Mazay ki cheiz hai ye zouq-e-justuju apna. . !

=======================

Na janay kab ka pohnch bhi chuka sir-e-manzil
Wo shakhs jis ka humain intezaar raah mein hai. . !

=======================

Na milay zeher tou apna hi lahu peetay hain
Jaam khaali nahi’n rehtay kabhi saqraato’n kay. . !

=======================

Na raah-e-johd na’e hai na jabr-e-wakt naya. .
Tamam umer guzari hai imteha’n ki tarha. . !

=======================
No comments:
Write comments

Advertisement