[Ghazal] Basaya tha ose dil main chahat ki baat thi

 
"> Basaya tha ose dil main chahat ki baat thi
Wo bewafa nikly un ki fitrat ki baat thi 

Waday pe un k aaj bhi jee rahy hain hum
Humain tha intzar aadat ki baat thi 

Ruswa wo kar gaye humain sub k samny
Hum Kuch bi na kar saky sharafat ki baat thi

Chaha hum ne paya kisi ur na unhain
Wo mile na humain kismat ki baat thi

Hymari daastan sun kar sara jahan roya
Sirh hum na roye himmat ki baat thi
No comments:
Write comments