Jab raat ki nagan dasti hai – Wasi Shah

 
"> Posted by:Zeshan

Jab raat ki nagan dasti hai
Naas naas me zehar otarta hai

Jab chand ki kirnain tezi se
Uss dil ko cheer k ati hain

Jab ankh k andar hi ansoo
Zanjeron me bhand jate hain

Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho

Jab dard ki bhanjar bajati hai
Jab raqas ghamon ka hota hai

Khawabon ki taal pe sare dukh
Wehshat k saaz bajate hain

Gate hain khawaish ki lee me
Masti me jhomate jate hain

Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho
Tab yaad bahot tum ate ho
No comments:
Write comments