Chalo us sheher jatay hain. . !
Chalo taqdeer ko phir aazmatay hain
Chalo hum rait se peero’n k ja kar naqsh chuntay hain
hawao’n per likhi sargoshi’on ko aaj sunty hain
Chalo palko’n se, neelay aur sunehray reshmi se khuwab bunty hain
hatheli per kisi ne likh diya tah lams honto’n ka
Aur aankhon k dareecho’n mein adhoora khuwab rakha tha
Sama’at an-chooi si aahato’n ki zadd mein hai shayad
Jabhi to dharkanain chup hain, jabhi to sa’atain chup hain
Chalo us sheher jatay hain
Jahan per wasl ko zanjeer se bandha nahi jata
Jahan tadbeer ko tadeer se bandha nahi jata
Ma’ni ko jahan tehreer se bandha nahi jata
Jahan dil ko kisi jageer se bandha nahi jata
jahan per chaand, taaro’n se mazayyan raat hoti hai
jahan per chahato’n ki har taraf barsaat hoti hai
Muhabbat ki jahan per jeet hoti hai
Jahan per dil k saray dushmano’n ko maat hoti hai
Chalo us sheher jatay hain. . !
=====================================
Kahani phir chali aai mujhy milny. .
Sukhi! Kaisi guzarti hai?
mery honto pe taalay dekh kar wo chonk c uthi
Wo kuch pal soch kar boli!
Sukhi tu heer jaisi hai. .!
Sukhi! tu zeher ka pi kar piyala jee rahi hai kyun?
Tera “ranjha” to kaido se bhi kuch barh kar hi tha shayad
Sukhi, behtar tha “Khairro’n” k hi ghar ko tu basa leti
Unhein apna bana leti, unhein hi aazma leti
Sukhi tu tootti jurti hui zanjeer jaisi hai
miti tehreer jaisi hai
Luti jageer jaisi hao.
Sukhi! Tu HEER JAISI HAI. . !
=====================================
Teray chehray ki shafaq subha, saba choomti thi
Teri raato’n ki sayah zulf ghata choomti thi
Teri saanso’n se churaai thi gulabo’n ne mehek
Thi sitaro’n se siwa teri in aankho’n ki chamak
Meray ae sheher-e-Muhabbat Kabhi aabaad tha tu
Tu ne ik zod faramosh ko apna jana
Such samajh baithy thy sapnay ko na sapna jana
Ab tou kuch bhi nahi baaqi
Naa wo mein hoon na wo tu
mery ae sheher-e-Muhabbat
Kabhi aabad tha tu. . !
=====================================
No comments:
Write comments