Dard Shayari – Safar hai us ka bulandi sey pasti’yon ki taraf

 
"> Posted by:Zeshan

Safar hai us ka bulandi sey pasti’yon ki taraf..
Agar na shor machaye to kia karey dariya!

=====================================

admi bulbula hai pani ka
kia bharosa hai zindagani ka

agar ho sakey to aa ker milo
kia hai is saans ani jani ka

agar tum laut aao to ‘Gul’
anchal sambhal lena shani ka.

=====================================

Muhabbat key safar mein
aaj phir souchta hun

kitney din huay hein
tum ko dekha nahi goya
kitney din huay hain

khud ko mila nahi
janey kab milo gay

lekin Jab milo gay
mein khod ko ainey mein dekhlun ga

muhabbat key safar mein
aaj phir sochta hun. . !

=====================================

Abhi aay ho abhi ja rahey ho
kuch dair aur ruko abhi raat baki h ai

is tarha barish mein
mat chor ker jao mujhey

in ankh’on mein an-dekhay sapney bohat baki hein
tum in rah’on mein abhi sey nidhal ho

abhi dukho’n ki kitab aur baki hai
tum kisi aur key ho jao ye ho nahi sakta
abhi to ‘Gul’ ki saans boht baki hai..

=====================================

Mein hun Aur tanhai hai
Teri ye chand tasweer’ain

Jo mujh sey baat’ein kerti hein
Teri ye chand tehreer’ain

Jin ko parh ker hum khod ko tasali’yan detay hein
Aur kuch card

Jinhei’n hum eid per parha kertay hein Aur
Teray bhejay huay kuch gift

Jinhei’n hum her waqt chuma kerat thay
Agr tum khod aa ker dekho

Mera kamra bas teri
Yaad’on ki nishani hai Aur tum
Kehtay ho key mujhey bhol jao. . !
No comments:
Write comments

Advertisement