Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera,
Ik nami si meri deewar mein aa jati hai..
=====================================
Dard mene kamaa liye kaafi,
Zabt ki abb zakaat wajib hai..
=====================================
Dard ke lamhe kab hum per asaan bane,
Jo dukh aansuu na ban sake woh tufaan bane..
=====================================
Dard ka hai yeh kaun saa mausam,
Main to jalne laga hoon chaaon mein..
=====================================
Jo bhi aya mujhe thokar se nawaaza us ne,
Mein to pathar tha mujhe koi uthaata kese.
=====================================
Dard ki lehar yaqeenan mere ghar jaye gi,
Main na hoon ga to na jane kidhar jaye gi..
=====================================
Harf likhne se gaye, sher sunaney se gaye,
Aese hum tujh mein huye gum ke zamaney se gaye..
=====================================
No comments:
Write comments