Phir wohi lambi dopeherain hain, Phir wohi dil ki haalat hai
Sahay hain us k liye ye azab meine bhi. .
Judai’on ki khalish us ne bhi zahir na ki
Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine bhi. .
Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha wo
Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .
Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diy
Judai’on ka diya hai jawab meine bhi. .
Kisi ne khoon mein tar choori’an jo bheji hain
Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab meine bhi. .
Khiza’n ka waar bhi kaar’gar tha dil per magar
Boht bacha kar rakha ye gulab meine bhi. . !
=====================================
Bil-aakhir ye haseen manzar mita dena hi parta hai
Kisi k sir ko shanay se hata dena hi parta hai
Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawalo’n se
Ta’aruf k liye sab se mila dena hi parta hai
Jo sanso’n mein mehektay hain jo aankho’n mein damakty hain
Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai
Diye jo hum jalatay hain nihayat shauq se har shab
Unhein khud apni phoonko’n se bhuja dena hi parta hai
Koi jab poochta hai hum se, kaisa haal hai ‘Sajid’
Humain mohtaat ho kar muskra dena hi parta hai
Chamak uthtey hain ‘Sajid’ jab sitaray us ki palko’n per
Usey dil se laga kar hosla dena hi parta hai. . !
=====================================
Muhabbat mein muhaabbat ki safai de rahy hain hum
Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy hain hum
Hamary haal per jana’n boht khush fehm mat hona
Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay hain hum
Koi tohfa tumhein dena to tha apni muhabbat ka
Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de rahy hain hum
Hamary rat-jago’n ka tum ko kuch ehsas to ho ga
Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai de rahy hain hum
Jinhain khoon-e-jigr se paish ro tehreer karty thy
Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy hain hum
Hum itny shor mein sab se mukhatib bhi nahi ‘Sajid’
Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy hain hum. . !
=====================================
No comments:
Write comments