Qaafilon ke qaafiley qadmon ke nishaan chorr gaye,
Aik hamara hi dard tha jo hijrat na kar sakaaa..
=====================================
Zakham de kar na puch dard ki shiddat,
Dard to phir dard hai, kam kya, zeyaada kya..
=====================================
Ranjj hai ya be’basi hai,
Jo bhi hai musalsal hai..
=====================================
Mohabbat karne waley kam na hon ga,
Teri mehfil mein lekin hum na hon ge..
=====================================
Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon ,
Main aj apni mohabat ko aazmana chahta hon ,
Yeh aana parast log hai andr sy tootay huye ,
Main yeh baat duniya walon ko btana chahta hon ,
Teri zaat ki mehroomiyan tera man ki yeh udaasiyan ,
Mujhy moka to dy main inhay mitaana chahta hon ,
Tere hath mera rehbar tere naksh paa meri manzil k
Tujhay main chillchilate dhoop main aanchal bnana chahta hon ,
cheen lo saharay mujh sy apnay piyaaray saray mujh sy
Bs do hosla mujhay main khud ko manvana chahta hon ,
poocha jo yaaro nay muskurahat ka sbab
to kehnay lga awais main hansi k pardy main dard apna chupana chahta hoon….
=====================================
‘Aapne Hi Shehar K Log Satane Lage,
‘Yar Apni Mahfil Se Uth K Jane Lage,
‘Jab B izhar E Jazbat Chaha Main Ne,
‘Log Apna Apna Dard Sunane Lage,
‘Hamare Naam Se Chalti Thi Jinki Sansein Kbhi,
‘Aaj Wohi Hum Se Nazren Churane Lage,
‘Kya Khabar Thi K Ik Pal Mein Bichar Jaye Ga Wo,
‘Jise Apna Bnane Mein Zamane Lage,
‘Kya Karon Nazron Se Hat’ta Hi Nahi Wo Manzar,
‘Jab Haath Chhura Kar Mera Wo Jane Lage…
=====================================
No comments:
Write comments