Dukhi Shayari – Gulshan parast hon muje gull hi nahin aziz

 
"> Posted by:Zeshan

Gulshan parast hon muje gull hi nahin aziz,
Kanton se bhi nibah kie ja raha hon me.

==========================

Kitni sadiyon se saleeb e azmaesh par hon me,
Kon hai jo lamha lamha azmata hai muje.

==========================

Kion doob sa jata hai sar e sham mera dil,
Soraj ko agr ghor se dhalte hoe daikhon.

==========================

Qareeb e rahguzar turbat ka hona bhi qiyamat hai,
Idher se jo guzarte hain tumhara naam lete hain.

==========================

Qarab hi kaam hai na dori hi ziada lakin,
Ajj wo rabat ka ehsas kahan hai k jo tha.

==========================

Faisal makalma tha hawaon ka phol se,
Wo shor tha k muj se suna kuch nahin gea.

==========================

Ghazal kahon kabhi sada se khat likhon us ko,
Udas dil k lie mashghale talash karon.
No comments:
Write comments

Advertisement