Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai,
us ne khusbhuu ke jhoolon main
phoolon ki khawhishen bhejin,
us ne taaron ki thandi chaaon,
aur khawbon ki titliyaan bhejin,
aik vaada-e-fardaa bheja us ne,
saath nibhaane ka,
chorr na jaane ka,
Mujhe maloom hai woh behlaata hai,
mujh ko sataata hai,
magar us ke sapnon se,
uss ke waadon se,
maine aik duniya sajaayi hai,
Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai..
===========================
Khushi ke geet gaao eid aayi hai,
Hanssi labon pe sajaao eid aayi hai,
Parinde bolte hain dil ki baat karte hain,
Tum apna haal sunaao eid aayi hai,
Fizaa main rang hain aur rang dilnasheen,
Nazzar se dil main bassaao eid aayi hai,
Khille hain phool aur mehek rahi hai fizaa,
Dilon ke ranjj mittaao eid aayi hai,
Chalo ke dil ki udaasi ko hatam karte hain,
Khushiyon ko dhoond ke laao eid aayi hai..
===========================
Iss eid pr bhi na mil sake to kya hua dosto,
Jazzbon main khuluus ho to eiden hazaar hain..
===========================
Uss se milna to ussey eid mubarak kehna,
Yeh bhi kehna meri eid mubaarak kar de..
===========================
Aap idar aaye udhar deen aur emaan geya,
Eid ka chaand nazar aaya to ramzaan geya..
===========================
Hattaa kar zulf chehre se na chhat pr shaam ko ana,
Kaheen koi eid na kar le abhi ramzaan baaqi hai..
===========================
Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?
Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?
Chaand bhejoon tujhe is eid pr dilbar,
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?
===========================
Aye mere meherbaan,
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya qauss-o-qazaa ki uthaan bhejoon ?
Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?
Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrapna bhejoon ?
Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki tarrapti hui boondain bhejoon ?
Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,
Ke jis ko tum se mohabbat hai,
Woh sitaara mil jaye,
Aye mere mehboob tujhe iss eid pr,
Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..
No comments:
Write comments