Hum hain wo barg-e-khizaa’n-deeda jinhain ‘Nasir’
Chaman mein dhoondti phirti hai barg-e-awara. . !
=======================
Hoti nahi qubool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho tou zuba’n mein asar kahan?
=======================
Hum tou mukhlis hain aur be-gharz hain aisay ‘Sana’
Kay chott khaingy tujh se, tujhy dua deingy. . !
=======================
Yehi sheher-e-ghum ka naseeb hai, k wo roshni ka naqeeb hai
Jo chura gaya hai kiran kiran, jo bujha gaya hai diya diya. . !
=======================
Ye jaama-e-sad chaak badal lainy mein kia tha?
Mohlat hi na di ‘Faiz’ kabhi bakhiya-gari ne. . !
=======================
Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan ghalib
Tujhy hum wali samajhty, jo na baada-khuaar hota. !
=======================
Yehi raha hai muqaddar mery kisaano’n ka
K chaand boe’n aur unko gehen zamee’n se mily. . !
=======================
No comments:
Write comments