Wo kon hain jinhai’n tauba ki mil gai fursat
Humain gunah bhi karny ko zindagi kam hai. . !
=======================
Hamari taraf ab wo kam dekhtay hain. .
Wo nazrain nahi, jinko hum dekhtay hain. . !
=======================
Tumhain bhi dekh k hum zindagi k sehra mein. .
Khilay huay hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarha. . !
=======================
Hum rooh-e-safar hain, humain naamo’n se na pehchaan
Kal aur kisi naam se aa jaingy hum log. . !
=======================
Honay lagy hain ghar mein bhi sauday khuloos k. .
Jo cheiz karobaar hai bazaar tak rahy. . !
=======================
Hai dil k liye mout, masheeno’n ki hakumat!
Ehsaas-e-murawwat ko kuchal daity hain aalaat!
=======================
Zeenay pe rakh gaya koi tehni gulaab ki. .
Aisay diya kisi ne sandesa bahaar ka. . !
=======================
No comments:
Write comments