Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Chahatoon kay azaab kia likhoon
Apni auqaat se to waqif hoon
Khud ko mein maahtaab kia likhoon
Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon
Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon
Sadmey pehley bhi seh liye hein magar
Ab jo toota ataab kia likhoon
Tashnagi to na bujh saki
Kitney aaye saraab kia likhoon…!!!
========================
Abhi Tak Saada Rakha Hai Yeh Kaaghaz Apni Chaahat ka
Munaasib Jab bhi Samjhein Gey koi Paighaam likh dein gey
Koi Paighaam kya Likhna hai Ik chotey se Kaaghaz par
Jisey Ham Chahtey hain Bus Ussi ka Naam Likh dein gey
========================
Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota…!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota…!!! :'(
========================
TumhaiN BhoooLna He Awal To Dastras Mai Nahi,
Jo ikhtiyaaR Bhi Hota To Kya Bhula Detay?
========================
Ye waqt bhi sayad mere mehboob ka kasid hai,
Chain se ik pal bhi kahin rehne nahin deta….
========================
Wohi Ranjishen, Wohi Haasraten, Na Hi Dard e Dil Main Kami Hui
Ajab si Hai Mri Zndagi Na Guzr Saki Na Khatam Hui
========================
TuMSe DiL Jo LaGaYa Do JaHaaN MeNe PaYa ..
KaBhi SoCha Na THa Ye MiLo Dur HoGa SaYa …
KyU KhuDa TUNe MuJhe Esa KhaWab DikHaYa ..
JaB HaQiQuT Me Use ToDNa Tha …
Ek doOje Se Hue JuDa , Jb eK DoOje Ke LiYe BaNe ..
========================
Ghreeb Maa apnay Bachon ko Baray Pyar se yun Manati hay
Phir bana lain ge Naye Kapray, ye Eid to her Saal aati hey
========================
Tum Bohat Jazib-o-Jameel Sahi
Zindagi Jazib-o-Jameel Nahi
Na Karo Behas Haar Jao Gi
Husn Itni Badi Daleel Nahi..!!~
No comments:
Write comments