Hum cheen laingy tum se ye shaan-e-be-niazi, ,
Tum maangty phiro gay, apna ghuroor hum se. . !
=======================
Ho umr-e-khizar bhi to kahaingy ba-wakt-e-marg
Hum kia kar rahy yahan, abhi aaye abhi chalay. . !
=======================
Haan! nahi teri rafaqat ki zarurat mujh ko
Meri monas, meri humdum, meri tanhai hai. !
=======================
Hum ‘Sana’ manzilain paa hi laity agar
Humsafar raah-guzar se jo darta nahi. . !
=======================
Honay ko un se sainkarro’n batain hui’n magar
Jis baat ka gila tha, wohi baat rah gaee. !
=======================
Hum ne bana liya hai naya phir se aashiya’n . .
Jao ye baat phir kisi toofan se se kaho. . !
=======================
Hum na hoty to kisi aur k charchay hoty, ,
Khalqat-e-duniya tou kehny ko fasanay mangay. . !
=======================
No comments:
Write comments