[ Parveen Shakir] Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon..

 
"> Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon,
Ik zaraa sher kahoon aur main kya kya dekhoon,

Neend aa jaye to kya mehfilen barpaa dekhoon,
Aankh khul jaye to tanhaayi ka sehraa dekhoon,

Shaam bhi ho gayi dhundhlaa gayin aankhen bhi meri,
Bhoolne wale main kab tak tera raasta dekhoon,

Ik ik kar ke mujhe chorr gayin sab sakhiyaan,
Aaj main khud ko teri yaad me tanhaa dekhoon,

Tu mera kuch nahin lagta hai magar jaan-e- hayaat,
Jaane kyun tere liye dil ko dharrakta dekhoon,

Band kar ke meri aankhen woh shararat se hanse,
Bujhe jaane ka main har roz tamaasha dekhoon,

Sab ziden uss ki main puri karoon har baat sunoon,
Ek bache ki tarah se usse hansta dekhoon,

Mujh pe chhaa jaye woh barsaat ki khushbuu ki tarah,
Angg angg apna issi rut mehektaa dekhoon,

Phool ki tarah mere jism ka har lab khul jaye,
Pankharri pankhrri un honton ka saaya dekhoon,

Main ne jis lamhe ko pooja hai usse bass ik baar,
Khawb ban kar teri aankhon main utarta dekhoon,

Tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib,
Jee me aata hai koii aur bhi tujh sa dekhoon,

Toot jaayen ke pighal jaayen mere kacchhe gharre,
Tujh ko main dekhoon ke yeh aag ka daryaa dekhoon..
No comments:
Write comments

Advertisement