[Parveen Shakir] Chalne ka hauslaa nahin rukna muhaal kar diya

 
"> Chalne ka hauslaa nahin rukna muhaal kar diya,
Ishq ke iss safar ne to mujh ko nidhaal kar diya,

Ae meri gul-zameen tujhe chaah thi ik kitaab ki,
Ehl-e-kitaab ne magar kya tera haal kar diya,

Milte huye dilon ke beech aur tha faasla koi,
Uss ne magar bicharrte waqt aur sawaal kar diya,

Mumkinaa faislon main aik hijr ka faislaa bhi tha,
Hum ne to ek baat ki uss ne kamaal kar diya,

Mere labon pe mohr thi pr mee sheesha-ru ne to,
Sheher ke sheher ko mera waaqif-e-haal kar diya,

Chehera o naam ek saath aaj na yaad aa sake,
Waqt ne kis shabeeh ko khawb o khayaal kar diya,

Mudatton baad us ne aaj mujh se koi gilaa kiya,
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya..
No comments:
Write comments