dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai
tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai
chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai
ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai
keh rahe hai hawa mujhy yasir!
us ne mehndi abhi lagaii hai
============================
Pholon ko jis trha bhanwre milte hyn
Aao is ?eid? pe hum b kahin milte hyn
Apni is chahat ko
Pyar bari rafaqat ko
Sachi lagan ka rang dete hyn,
Dunia k liye apni mohbat ko misal krte hyn
Rawani k liye jese darya samandar me khud ko pamal krte hyn
Phool jese gulshan se wafa nibane hr bar nikalte hyn
Aao is eid pe hum b kahin milte hyn ?
============================
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..
khch dair to man ko chain mile
khcuh roz to man k phool khilain…
kehte hian eid ki amad hai
ab log khch takeed karain
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khahish hai…
aik bar milo aik bar milo
her bar yehi takeed karain…
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
mana k hum dewane hain
sub bato se anjane hain
jub apne hi begane hain
kia gero se umeed karain
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
No comments:
Write comments